Sunday, September 6, 2009

पिता की akanksha

Pitra martyu shaiyya par khada ye putra karun geet ga raha,

aaj mera ishwar saman pita hi , mujhko chhodkar ja raha.

yad kar raha he voh, bachpan ki har kahani jo,

yad kar raha he voh, us daant ko nadani ko,

yad aa raha he usko bachpan me pita ka dantna,

vah ma ka seene se lipatkar,dukh dard sare bantna.

vah pahli cycle se chhot khake girna, pita ke sath,

Yad he use aaj bhi , pita ki di hui pahli kalam aur kitab.

har samay pita jo, kiya kar de the puri chahto ko , umnago ko,

hasarato ko pura kar, jeevan me bhar diya kar dete the naye rango ko,

Putra dukhit man se aaj swayam, pita ki arthi ko saja raha,

Jisne hamesha kandhe par bithaya, use hi kandho par liye ja raha.

Pita martyu shaiyya se uth, putra ko samjhane lage,

bhavnao me bahkar, putra sahit ashru jal girane lage.

Main apne aakanchchao ko dabakar, tumhe sabal banata raha,

mere jeevan ka vanchhit sapna, putra sadhna me jata raha,

Maine swayam jalke agni me, aaj tumhe swarna banaya he,

Maine tufano ko sahkar, tumhe digne se bachaya he.

is sansar jagat ko chhodkar, me ab vida liye jata hu,

par mere sapno ka uttradhikari tumko hi main pata hu.

jo mere the swapna salone , sare aaj tumhare he,

mere sapno ke badal, sar par aaj tumhare he.

Mere sapno ko pura kar, de do naya aakar tum,

Sachcha putra banker, sare sapne kar do ab sakar tum.

Ashru jal girakar tum, swayam kayar kahlaoge,

Mera nam tum roshan kardo, tabhi sachche saput kahlaoge..

1 comment: