jeevan ashankao ke badal, ab sir par mundrane lage,
prabhu swarupi, mata pita, jab grahastha jeevan ki rah dikhane
lage,
mere kratvyo ki rah he, bah paththar aaj jamane lage,
mujhe kyon na chhod diya bachpan me, aaj jo mere jeevan pe hak
jatane lage,
pita mujhe samjhate, beta jeevan ka he yah aadhar,
grahasth jeevan ke bina purna nahi kisi ka sansar,
eh kaisa insaf jagat ka, kahta samaj ekal jeevan ko niradhar,
jab 1 prabhu jagat ke rakshak, to manav se kyo duja vyavhar.
pita kahe barso ,beete ab aangan me shahnai ki goonj baje,
ghar ke aangan me bhi , aaj roshani se deep saje,
chinta hate, jab garha aangan me kuldeepak ki goonj baje,
unhe chahiye 1 kilkari,mera jeevan me uska kyon bigul baje
kyun chahiye hume jeevan sathi jub hum swayam safal saksham he,
kyun chahiye hume jeevan sathi, kya hum kisi bat me aksham he,
kyun kahta he samaj hume, ki ekal jeevan ko jeene me jokham he,
ekal jeevan hi ji jaunga me, yahi mera sankalp parakram he..
ek rah par chal raha he jeevan,anek rah dikhlata ye yauvan,
tarunai path bhatkati he, marg vichlit kar raha he yauvan,
duniya me main ashakt pada hu, mujhko nirbal banata mera yauvan..
vyartha jivan ye samundar he, par lahro ko prabhu kar do ab
pawan...
aaj mere man me bhi , pyar hilore leta he..
bhautik jeevan ka , ek sunder sapna sanjota he..
mujhe aage badhne se rok raha, ye prem swarupi gota he,
bah nadani me kar na jau, jo sabke jeevan me 1 bar to hota he..
man kahta he ,bhatak jau kyon na ek kuteea basau,
pragti ko rok kar , jeevan ka me sukh pau,
is chanchal man ke, maya jal me kahin me funs na jau,
aasan nahi dagar unnati ki, kahi is path se me dig na jau..
deep tabhi me kahalaunga , tufane me jab jal paunga.
insaan tabhi me kahlaunga, vikat parshthitio me jab pal paunga,
vyakulta ko tak pe rakhakar, jivan jaal se nikal jaunga..
tabhi sunhare jivan ka, me sukhad safal fal paunga..
pankshi bankar bahut ud liya swayam aakash banana he
ji ji ke bahut mar lia , mar kar kuch khas banana he,
muak abhivakti ban ke bahut ji liya, jwalant aabhas banana he,
jinda lash bankar bahut ji liya, ajar amar itihas banana he
Jain sahab to aaj ki duniyan ke kavi hai...
ReplyDeleteJab likhte hai dil se likhte hai.