Sunday, August 9, 2009

dastan ye mohabbat

ki itna pyar he ander, kabhi na dekh paogi,
he itna dard jo dil me , kabhi na soch paogi..

mere aansu mohabbat ki , gavahi ab jo dete he,
tumhari yade aate he, nayan ko chhod dete he..

mohabbat chhez kya he ye, batla hum nai sakte,
hal ye-dil , haqikat me, jatla hum nahi sakte..

---uski shadi hone wali he---
tum apni doli le jakar, naya ab ghar basa lena,
mujhe tum bhul kar apne pyar ka matam mana lena..

me markar bhi tumko kabhi na, bhul paunga,
tum apni mang ke sindur se , mujhko bhula lena..

me ro ro karke apni arthi ab utha lunga,
tum huns huns ke apni doli saja lena..

----last

agar bhulkar kar bhi yad jo meri kabhi aaye,
to us pad ke neeche, kabhi ddeepak jala lena...

3 comments:

  1. baba tussi chhha gaye

    ReplyDelete
  2. Aisa lagta hai kahi khua ka dard to kavita ke roop me nahi aa gaya...

    ReplyDelete
  3. Jain saab ab shaadi kar lo...

    Amit mewada

    ReplyDelete