Monday, November 13, 2017

ATM ki kahani

me hu 1 ATM , mere andar hajaro k note hua karte the, magar kabhi ghamand nhi kiya.
jo mre pass card lekar aaya usko paisa diya.

pahle mere note jada the, niaklne wale kam, mujhe nhi tha kisi bat ka gam.

har kisi ki jeb bhar diya karta tha, jo jitne mange usko diya karta tha.

me hamesha se paisewala rha, aadat se hamesha note udane wala rha.

mere pas kangal log aate rhe, apne jeb bhar k jate rhe.

magar meri aadat ko kisi ki nazar lag gayi, 
pata nhi ye dilli me sarkar kab badal gayi.


mujhe laga ye system aese hi chlta rahega, mere andar logo k pap ka paisa palta rahega.

magar ekdam se badal gaya sab manjar, woh dintha 8 novemer.

mujhe kuch bat samjh nhi aayi,, achanak se rat me mere samne 1 lambi line payi.

 jo din bhar me 10 20 log aate the, aaj woh hajaore me the..

jitne log mere samne lage the, 
usse kam toh note mere anadar note the

joh kabhi mere pas nhi aate the,
 aaj meri line me kha rahe dhakke or chot the.


 mere jivan ka ye sabse dukhad pal tha, 
note toh hajaro or 500 k the par har koi 100 k nikalne par amal tha.
  
pal bhar me gayab ho gaye mere aish 
and i ran out of cash.

jivan ki sachachi pahli bar dekhi thi, 
mere samne khadi sundar ladki ro rhi thi

or me lachar tha, mere pas sirf 500 or hajar tha.

No comments:

Post a Comment