Wednesday, July 8, 2020

kal rat tumhare sapne ne, mujhe neend se jaga diya
bhuli yado ka bo manjhar, sab kuch yad dila diya..

me roj subah uthkar, apni chaat par jata tha,
1 jhalak tumhari pane ko, dhup sahan kar jata tha..

tumhare har upwas ne mujhko, mandir jana sikhla diya.
tumne 1 nastik ko, kab kaise aaastik bana diya..

tumhare bhai ko menre chocklate de dekar fula diya
tumhare ghar me gas khatm hone, gas cylindar tak laga diya

naukar ke na aane par, jadu pauncha tak laga diya
jab tumne bola, tab recharge tak dalwa diya.. 

kabhi tumhare school ke bahar, chappal apni ghisa diya
me apne school me kam, girls school me jada dikhai diya..

tumhare sath padhne ki khatir, apna bhavishya gava diya,
1 kakcha me 3 bar fail hokar, bap ka nam duba diya....

tere school k sare assignment, mene bana diya
tere pyar ko pane, apna career gava diya

tere ghar me nal na aane par, me balti bhar bhar ke la diya
tere pyar ko pane me, mene apna parivar gava diya

magar aaj tere pyar ne mujhe rula diya
tere bete ne aaj mujhe fir se mama bula diya









No comments:

Post a Comment